Episodios

  • Episode 25: Saans ki samsyaon ke liye
    Dec 20 2021
    Sanson ki keemat tab pata chalti hai jab ismen koi dikkat aati hai. Sans me dikkat hona kai bar bahut gambheer bimari ki nishani ho sakti hai. Is episode me ham sans se judi samasyaon ko samjhenge aur unka hal bhi talashenge.
    Más Menos
    12 m
  • Episode 24: Vazan badhaane ke liye
    Dec 20 2021
    Vajan ghatane ki tarah vajan badhana bhi ek badi samasya hai kyonki dono conditions hi achche swasthy ke liye theek nahi hoti hain. Is episode me bahut surakshit tareekon se apne wajan ko badhane ke liye ayurved ke nuskhe dhoondhenge.
    Más Menos
    13 m
  • Episode 23: Uric acid samasya ke liye
    Dec 20 2021
    Uric acid jab shareer me badhne lagta hai tab bahut sari problems shuru ho jati hain. Is episode me ham Iske bare me vistar se jante huye iske liye ayurved ke gharelu nuskhe talashenge.
    Más Menos
    13 m
  • Episode 22: Bachchon ka dimagh tez karne ke liye
    Dec 20 2021
    Aajkal ke bachchon par bahut bojh hai.padhai ke alawa bhi unhe har kam me aage rahne ka pressure jhelna hota hai. Aise men parents chahte hain unhe aisa kuch khilana jinse unki energy bhi bani rahe aur dimag bhi tej rahe. Is episode men ham isi sab ke liye ayurved ke gharelu nuskhe talashenge.
    Más Menos
    12 m
  • Episode 21: Yaddashat badhaane ke liye
    Dec 20 2021
    Yaddasht ka kamjor ho jana bahut takleef deh hota hai, mareej ke liye bhi aur uske pariwar ke liye bhi. Iske liye jaruri hai ki ham samay se apne mental health par dhyan den. Is episode me ham yaddasht ko tej karne ke ayurved ke gharelu nuskhon ke dwara apna khayal rakhna seekhenge.
    Más Menos
    12 m
  • Episode 20: Thyroid ke liye
    Dec 20 2021
    Thyroid ek life style se judi beemari hai. Iski wajah se bahut sari problems ho sakti hain. Is episode me ham thyroid ke lakshan aur ayurved ke nuskhon dwara iske ilaj ke bare men samjhenge.
    Más Menos
    12 m
  • Episode 19: Blood pressure ke liye
    Dec 20 2021
    Aajkal har doosra insan blood pressure badhne ya ghatne se pareshan hai. Ye bahut gambheer beemariyon ka sanket bhi ho sakta hai ilsiye is par samay se dhyan dena bahut jaruri hai. Is episode men ham ayurved ke nuskhon ki madad se blood pressure ko control me rakhna seekhenge.
    Más Menos
    13 m
  • Episode 18: Ghutno ke dard ke liye
    Dec 20 2021
    Ghutnon ka dard bahut jyada pareshan kar deta hai, ye badh jaay to chalna firna doobhar ho jata hai. Ek waqt ke bad is men surgery ke alawa koi option nahi rahta aur ise har koi afford nahi kar sakta. Is episode men ayurved ke asaan gharelu nuskhon se ham ghutnon ke dard ka hal talashenge.
    Más Menos
    14 m