Episodios

  • Episode 1: Depression se chutkara
    Sep 10 2021

    Awsad yani depression aaj ke waqt ki bahut badi samasya hai. Ye na sirf man balki shareer ko bhi buri tarah prabhavit karta hai, ye ghun ki tarah man aur tan dono ko khokhla kar deta hai. Aaj ke episode men ham awsad ko door karne wale mantra ke baare men gahrai se janenge, samjhenge ki kaise mantra hame depression se ubar sakta hai aur depression me jane se rok sakta hai.

    Más Menos
    16 m
  • Episode 2: Bachat karne ka mantra
    Oct 14 2021
    Chahe aap naukri me hon, business me hon ya ek grahani hon, paise ki bachat ek aisa shabd hai jisse sabko pyar hai aur jiski sabko chah bhi hoti hai. Ham rojmarra ke jeewan men bahut koshish karte hain ki kisi tarah thodi si bachat ho jaay aur uske liye har sambhav kaam karte hain lekin badhti jaruraten aur badhte kharche upar se aasman choomti mahangai ye bachat hone nahi dete. Aaj ke episode me ek aise mantra par baat karenge jo na sirf hamare dhan men bachat karwaye saath hi kamai men barkat bhi laayega.
    Más Menos
    15 m
  • Episode 3: Pareeksha me safalta ka mantra
    Oct 14 2021
    Pareeksha ek aisa shabd hai jise sunte hi ham ekdam se tanaav me aa jaate hain khaskar bachche to is shabd se bahut ghabrate hain.Aajkal padhai me pareeksha me pass hone ko aapke gyan se jyada mahatv diya jata hai nateejtan bachche ise jeene aur manrne ka sawal bana dete hain. Aaj ke episode me ham us mantra ki baat karenge jo na sirf pareeksha me safalta dilwa sakta hai sath hi hame maansik roop se majboot bhi banata hai taaki hum jeewan ki kisi bhi pareeksha se na daren aur sada safal hon
    Más Menos
    15 m
  • Episode 4: Santan kalyan ke liye mantra
    Oct 14 2021
    Ishwar ne har jeewit prani men ek bhav saman roop se bhara hai, ye bhav hai mamta ka bhav, apni santati ko age bhadhane ka bhav. Har koi chahta hai ki uski santan swasth rahe, safal ho aur sada sukhi rahe. Iske liye mata pita har sambhav koshish bhi karte hain lekin fir bhi kuch na kuch kami rah hi jaati hai. Aaj ke is episode me ham us mantra ki baat karenge jiske jaap se aapki santan ke jeewan se kasht door rahenge, unka swasthya sahi hoga aur jeewan khushhal hoga.
    Más Menos
    15 m
  • Episode 5: Achchi neend ke liye mantra
    Oct 14 2021
    Aaj kal lagbhag har koi kabhi na kabhi ye shikayat jarur karta hai ki neend nahi aati, iske peeche hamara life style aur bahut saare doosre tanaav hain. Neend na aana ek beemari banta ja raha hai jiski chapet me kya bachche, kya boodhe, kya jawan sabhi aa rahe hain aur iska samadhan milna mushkil hota ja raha hai. Aaj ke episode me ham us mantra ki baat karenge jo na sirf hame achchi neend lene me madad kar sakta hai sath hi hamare man ko shant aur halka bhi banaye rakhta hai
    Más Menos
    15 m
  • Episode 6: Shubh din ke liye mantra
    Oct 14 2021
    Ham jab bhi apne naye din ki shuruaat karte hain to bahut sari ummeedon ke sath karte hain. Ham chahte hain hamare kaam asani se ho jaayen, ghar ya office me kisi se bewajah ki takraar na ho aur din achche se bina kisi pareshani ke beet jaay lekin aisa jyadatar hota nahi hai. Din khatm hote hote ham tan aur man se itna thak jate hain ki lagta hai aaj se bura koi din nahi tha aur lagbhag har din aise hi beet jata hai. Aaj ke episode me ham us mantra ke baare me janenge jo hamare har din ko ek nai ummeed, ek nayi sakaratmakata se bhar dega, ek aisa mantra jisse hamara din aur jeewan shubh hoga.
    Más Menos
    15 m
  • Episode 7: Mahamrityunjay Mantra
    Oct 14 2021
    Iss episode me ek aise mantra ke baare me janenge jo jeewan daan dene wala hai, jo akal mrityu se bachane wala hai, beemariyon se bachane waala hai, achchi sehat dene wala hai. Ek aisa mantra jiska jaap karne wale se har buri bala door rahti hai, bhagya uday hota hai aur jeewan me kisi kism ka dar ya kasht nahi rahta. Ye ek. Mahamantra hai, ye mahamrityunjay mantra hai.
    Más Menos
    15 m
  • Episode 8: Buri aadaten chhudane ka Mantra
    Oct 14 2021
    Ham sabki apni kuch aadaten hoti hain jo aksar hamari pahchan bhi ban jaati hain. Aadaten kuch achchi to kuch buri hoti hain, achchi aadaten jeewan sanwar deti hain to buri aadaten jeena mushkil kar deti hain, hamara bhi aur hamare aas paas ke logon ka bhi. Aaj ke episode me us mantra pe baat hogi jo hamari buri aadaten chhodne me madad karta hai, sahi galat ki pahchan karne ki taakat badhata hai aur hame ek behtar insaan banne me madad karta hai.
    Más Menos
    15 m