Episodios

  • Ladies Hoke Divorced? Haaaw!
    Jul 21 2023

    Happily EVER after ki toh sab baatein karte hai, happily EVEN after ka kya? Divorce ko normalise karna kyun zaruri hai, uski hum alag alag perspectives se aaj baat karenge. Aur agar aapke dimaag me aise sab savaal aa rahe hai ki -- "Ladki hai, uska kya hoga?" "Are husband nahi hai toh usko safe kaun rakhega?" "Are ma ko bacche ki baare me toh sochna chahiye na?" Toh Ladies Hoke Haaaw! ka ye episode zarur suniye!

    Don't miss out the special Ladies Hoke Haaaw! rap in the last episode of this season! Aur tab tak haaaw-pocrisy ko bolte rahiye - CHUP! 

    Guests:
    1. Dr. Shruti - MDS Oral Medicine and Radiology
    2. Rashmi Saha - Life Transformation Coach
    3. Mr. Kovid -  Lawyer, High Court
    4. Dr. Suchitra - M.D., Gynaecologist (popularly known as the Divorce Doctor)

    See omnystudio.com/listener for privacy information.

    Más Menos
    18 m
  • Ladies Hoke Shaadi Se Pehle Sex? Haaaw!
    Jul 8 2023

    36 ke 36 gunn match ho jaaye, ladki sidha heaven se kyun na ho, virgin nahi toh haaaw? Ladka sex kare toh stud, ladki kare toh haaaw? Virginity ko lekar humari samajh limited hai, lekin judgements unlimited!  Ek aur baar Ladies Hoke Haaaw! par hum todenge kuch mindsets, puchenge kuch savaal aur jaanenge dher saari mind-opening baatein. You know what to do guys! Mere saath mil kar iss haaaw-pocrisy ko boliye, CHUP! Tune in now!

    Guests:
    1. Dr. Geeta Sharma - Gynaecologist
    2. Dr. Sonali - Gynaecologist
    3. Mr. Vivek Tamaichekar - Founder of ' Stop the V Ritual' Campaign

    See omnystudio.com/listener for privacy information.

    Más Menos
    14 m
  • Ladies Hoke No Cooking? Haaaw!
    Jun 27 2023

    Humaari society mein kitchen or women ko apne aap hi jod diya jaata hai. Ghar ke kaam ladies kare aur bahar ke, mard? Ghisepite gender roles ki wajah se kayee betuka baatein sunaayi deti hai. Jaise -- "Ladies hoke khaana banana nahi aata?" "Are itni badi ho gayi aur roti nahi bana sakti?" "Ladki ho, alag alag cuisines banana toh aana chahiye na!"

    Aakhir kyun? Kisne kaha hai ki ladies hona yaani chef hona? Samay badal raha hai, aap bhi badaliye. Is episode me hum ye mudda uthayenge. Aap ko kadva lagega shayad, aur ho sakta hai hazam na ho. Lekin aapki sehat ke liye achha zarur hai!

    Suniye aur todiye kuch mindsets! You know, food for thought!

    Guests:
    1. Neema Bhatt - Homemaker
    2. Ananya Bannerjee - Chef
    3. Arunima - Filmmaker and Home Chef
    4. Jyotsana Pandey - Homemaker

    See omnystudio.com/listener for privacy information.

    Más Menos
    12 m
  • Ladies Hoke On Time? Haaaw!
    Jun 16 2023

    Indian Standard Time (IST) to aap sabhi ko pata hi hai aur kaise hum usko follow karte huye har kaam mein late ho jate hai!

    Par ladkiyan jab late hoti hai to sab  dressing up ko hi responsible thehra dete hain.
    Toh agar dressing up reason nahi hai toh hum ladkiya akhir kyu late hoti hain? Kya uske peeche koi background story hai?

    Punctual hone ke fayde to sune hi hai par iss episode mein janiye punctual hone ke nuksan bhi. Appko sunne ko milega punctual se lekar impunctual women ke fun experiences and secrets of how to live a punctual life !

    "Kudiyo ka hai zamaana" yaa
    "Kudiya bana rahi hain bahaana?"
    Episode sunkar hi batana!

    Guests:
    1. Pramita - Tax Consultant
    2. Meena Manral - Government Official (Education Department)
    3. Manisha Badola - Ex-Public School Teacher
    4. Sarika Bhushan - Rashtriya Adhyaksh Mahila Kavya Manch
    5. Pallavi Yamini - Banker
    6. Riya Mukherji - Writer, Podcaster, Lyricist and Entrepreneur (Riya Mukherjee Production Hub)

    See omnystudio.com/listener for privacy information.

    Más Menos
    13 m
  • Ladie Hoke Solo Travel? Haaaw!
    Jun 8 2023

    Ladki hoke solo travel karogi? Kuch ho gya toh? Kisi ko toh saath le jao! 

    Kuch aise hi sawaal jawaab uthte hai jab ek ladki solo travel ki baat karti hai. To kya karna chahiye?
    Ruk jana chahiye ya rasta dhoondhna chahiye?

    Is episode mein hum baat karenge Women solo travellers se aur seekhenge safety tips bhi. Sath hi kuch good and bad experiences.

    Ye sabhi experiences feel karne ke liye suniye Ladies Hoke Haaaw ka naya episode 'Ladies Hoke Solo Travel? Haaaw!' 
    Produced by Ofspin Media Friends!

    Suniye inn sabhi lady solo travelers ke experiences!

    Zinal - CEO Flapper life 
    Pallavi Rusia - Data  Engineer
    Vinita Yashaswi - Works for Nainital Samachar
    Hema Tiwari - Education Department

    See omnystudio.com/listener for privacy information.

    Más Menos
    17 m
  • Ladies Hoke Biker? Haaaw!
    May 27 2023

    Motorcycle Industrial Council ke hisaab se, duniya me one in five bikers are women. Phir bhi jab koi ladki bike chalaati hai toh humaari nazre use taadne se baaz nahi aati! Scooter, cycle, bike, car, jo bhi vehicle ho, koi bhi chala sakta hai!

    Is episode me kuch aur mindsets ko todenge aur sunenge women bikers ke kuch romaanchak experiences! GListen to Ladies Hoke Haaaw! now!

    Guests:

    Bharti Joshi - Chemistry Teacher
    Divya Pathak - Assistant Professor Hindi
    Shirin Shaikh - Among the Top 10 Bike Rider Women in India
    Amruta Mane - Founder, Women on Wheels

    See omnystudio.com/listener for privacy information.

    Más Menos
    13 m
  • Ladies Hoke Daaru? Haaaw!
    May 17 2023

    Jab brewery me beer aur distillery me whiskey bann rahi thi, toh kisine kaha tha ke sirf mardo ke liye? Female alcohol piye toh "Are baap re!" aur male piye toh "Toh kya hua?"

    Ladies Hoke Haaaw! ke is episode me baat karenge women aur alcohol ki aur sunenge kuch super interesting experiences. 

    GListen now!

    Guests:

    Heer Khant - Writer, Lawyer, Traveller and Creative Audio Producer
    Deepika Deorari - Manager, Learning and Development
    Durba - Homemaker

    See omnystudio.com/listener for privacy information.

    Más Menos
    14 m
  • Ma Hoke No Sacrifice? Haaaw!
    May 7 2023

    Maa banne ka ehsaas khaas to hai! Lekin uske saath saath dher saara guilt bhi aa jaata hai. A feeling only a woman can understand! Is it all about sacrifice?

    "Kya hum apne bacchho ke liye enough kar rahe hai?"

    "Kya alone time or personal space lena thik nahi hai?"

    "Kya khud ke sapne poore karna galat hai?"

    Being a mom comes with guilt, whether you want it or not. In this episode of Ladies Hoke Haaw!, hum baat karenge kayi ladies se aur samjenge ki maa banna kitna difficult hota hai, boss! Kaan kholke suniyega!

    Guests:

    Suparna - Inpatient Teacher Coordinator (Streamwood Behavioral Hospital , US)
    Rajni Devi - Chef
    Khushboo - Housekeeper
    Veera Anant - Student

    See omnystudio.com/listener for privacy information.

    Más Menos
    13 m