Episodios

  • आंसू : आखिर कौन था वह अजनबी जिसने सुनीता की मदद की
    May 26 2022
    Sunita aur uski ma ke paas bilkul paise nahin the aur unhe Sunita ki padhai ki fees bhi jamaa karni thi. Ma bohot pareshaan thi, tabhi use pata chala ki kisi ne 50 hazaar rupaye de diye the aur Sunita ki fees bhi bhar di thi. Ma hairaan thi ki aisa koi anjaan insaan unke liye kyun karega. Phir use pata chala ki uske pati ne kayi saal pehle kisi ko teen hazaar rupaye diye the, aur ab 30 saal baad wahi insaan unke parivaar ke liye kuchh karna chaahta tha.
    Más Menos
    10 m
  • कहानी : एक रात का सफर
    May 26 2022
    Akshara pehli baar akele bus mein safar kar rahi thi. Raat ka samay tha aur use darr bhi lag raha tha. Driver ne uske saath ek ladke ko baitha diya jo dekhne mein awaara lag raha tha. Akshara doosri taraf chehra karke baith gayi. Tabhi baarish hone lagi aur paani bus ke andar aane laga. Ladke ne Akshara ki madad ki aur uska khayal rakha. Vah achche dil ka insaan tha aur Akshara ko laga ki iss duniya mein abhi bhi insaaniyat hai.
    Más Menos
    8 m
  • अंतिम टैलीग्राम : क्या तनु अपने प्रेमी अनिरुद्ध से मिल पाई
    May 26 2022
    Tanu aur Aniruddh ke beech kayi saal pehle prem sambandh the. Lekin phir Tanu ki shaadi ho gayi thi aur Aniruddh kahin chala gaya tha. Ab Tanu ko uska telegram mila. Vah usse milna chaahta tha. Tanu ke mann mein bhi uske liye bhavna thi, lekin shaadi ke baad usne inn yaadon ko door kar diya tha. Kya use phir se zindagi ka yeh adhyaay kholna chaahiye? Telegram padhte huye Tanu yahi sochti rahi ki ab apne jeevan ko kis mod par le jaaye? Kya ateet ki taraf lautna sambhav hai?
    Más Menos
    12 m
  • गलतफहमी-नीना के प्रति मैं चुंबक की तरह खीचा जा रहा था
    May 26 2022
    Ravi ko Nina se prem ho gaya tha. Lekin jab usne apne pyar ka izhaar kiya toh Nina ne usse keh diya ki vah shaadi nahin karna chaahti. Ravi ek factory mein kaam karta that aur uss din wahan ek ladka ghayal ho gaya tha. Ghar lautne ke samay Ravi uss ladke ke baare mein hi soch raha tha. Use phir Nina dikhi, vah ek beauty parlour mein kaam karti thi. Ravi aur Nina uske ghar ki taraf gaye. Dono ne dil khol kar baat ki, kya unka rishta aage badh payega?
    Más Menos
    10 m
  • मीनू-कंडोलिम बीच पर क्या हुआ?
    May 26 2022
    Yeh kahani do fauji doston ki hai jo Candolim beach jaa rahe the. Wahan unhe Meenu naam ki ek ladki mili aur ek dost ko uski taraf aakarshan ho gaya. Meenu ko bhi usse prem ho gaya. Doosre dost ka operation tha aur vah disabled ho gaya. Kya uske dil mein bhi Meenu ke liye prem tha? Meenu ka rishta unn mein se kisi ke saath aage badhega ya phir yeh sirf Candolim beach ki yaad ban kar reh jayega?
    Más Menos
    10 m
  • फिर प्यार हो गया
    May 26 2022
    Sameer aur Neera pati-patni the. Neera ko kamar ka dard pareshaan kar raha tha toh Sameer use hospital le kar gaya. Wahan doctor ne MRI scan karwane ke liye kaha. Neera ko bohot ghabrahat huyi. Uski nazaron ke saamne poori zindagi aa gayi. Usne yaad kiya ki shaadi se pehle uska ek premi tha, Aniruddh. Use iss baat ka bhi ehsaas hua ki uske liye shaadi ek samjhauta tha. Vah shayad apne pati se abhi bhi prem nahin karti thi. Kya vah yeh sab keh sakegi?
    Más Menos
    14 m
  • दूसरा विवाह- विकास शादी क्यों नहीं करना चाहता था?
    May 26 2022
    Vikas ki doosri shaadi ho gayi thi. Kayi saal pehle uski pehli patni Mamta use chhod kar chali gayi thi. Unke bachche bhi the. Chhote se ghar mein rehte huye aur paison ki kami ki wajah se Mamta pareshaan ho gayi thi aur usne apne pati ko chhod diya tha. Dono ka talaq ho gaya tha. Vikas ki doosri shaadi ke liye uske bachchon ne hi use manaya tha. Bachchon ko laga ki unke pita kitne akele honge, unhe bhi pyar ki zaroorat hai.
    Más Menos
    8 m
  • कायर (पहला भाग) : विशाल ने अपनी मां के साथ ऐसा क्या होता देखा था
    May 26 2022
    Vishal ka pita sharaab ke nashi mein rehta tha aur uski ma ko maarta tha. Vishal ke liye yeh dekhna bohot mushkil tha. Vah naukri ki talaash mein sheher chala gaya. Wahan uski mulaqat Tara se huyi. Tara vivaahit thi aur uska pati bhi uske saath bura vyavahar karta tha. Ek din Vishal ne Tara se uski pareshaani ki wajah poochhi. Dono ke beech prem badhne laga. Vishal nahin chaahta tha ki Tara ko bhi wahi dukh dekhne pade jo uski ma ko mile the.
    Más Menos
    26 m