• Episode 1: Bhookamp(bhag 1)
    Sep 10 2021

    Bhookamp ek aisi prakritik aapda hai jiski koi bhavishyawani nahi ki ja sakti ki ye kab aayega aur kahan aayega halanki vaigyanik bahut research kar rahe hain lekin abhi tak kuch thos parinam nahi aaye hain. Is episode me ham bhookamp ke bare me samjhenge, bhookamp aane ke karan se lekar bhookamp ki sthiti me kaise apna bachav karna hai, ye samjhenge.

    Show more Show less
    15 mins
  • Episode 2: Bhookamp(bhag 2)
    Oct 14 2021
    Jyadatar samay jab bhi Bhookamp aata hai log kisi na kisi building me hote hain, ya to office me ya gharon me. Aise me yadi aap kahin fans jayen to kya kya sawdhaniyan utha sakte hain aur kaise khud ko aur doosron ko bacha sakte hain, is episode me ham isi tarah ke bachav ke tareekon ko vistar se janenge.
    Show more Show less
    15 mins
  • Episode 3: Tsunami (bhag 1)
    Oct 14 2021
    Tsunami ke nam me hi itna khauf bhara hai ki sunkar hi koi bhi dar jaay, ye aapda samudra ke andar janm leti hai aur apni chapet me aane wali har cheej ko baha le jaati hai, fir chahe vo kitni hi majboot kyon na ho. Is episode me ham Tsunami ke bare me vistar se samajhte huye usse bachav ke tareekon par baat karenge
    Show more Show less
    16 mins
  • Episode 4: Tsunami(bhag 2)
    Oct 14 2021
    Kyonki tsunami ka. Prabhav samudra tat ke aas pas ke ilakon par padta hai isliye wahan bas rahe ya kam kar rahe log hon ya tourists, unke liye ye jaanna bahut jaruri hai ki agar tsunami jaisi aapda ka samna karna pade to kya kya ehtiyat baratne chahiye aur kaise sanyam aur samjhdari se khud ko aur apne sath ke logon ko is aapda se bachana chahiye.
    Show more Show less
    13 mins
  • Episode 5: Baadh(bhag 1)
    Oct 14 2021
    Ek or nadiyon ko jeewandayini mana jata hai kyonki unhi ke pani se is dharti par jeewan panapta hai, falta foolta hai lekin doosri or har saal hajaron log inhi nadiyon ke pani ki bhent chadh jaate hain jab ye badh ka roop le leta hai. Is episode me ham badh ke karano se lekar usse bachav tak par vistar se bat karenge
    Show more Show less
    15 mins
  • Episode 6: Baadh (bhag 2)
    Oct 14 2021
    Badh ek aisi aapda hai jo jan ke sath mal ka nuksan bhi karti hai aur aapda beet jane ke baad aur bahut sari pareshaniyon ka daur shuru hota hai. Beemariyan unme se ek hai isliye na sirf hame badh se nipatana seekhna hai sath hi baadh ke baad hone wali pareshaniyon se nipatana bhi seekhna hoga. Is episode me ham. Badh se judi bahut sari pareshaniyon aur unse bachne ke liye uthaye jane wale kadmon ki charcha karenge.
    Show more Show less
    15 mins
  • Episode 7: Himskhalan(bhag 1)
    Oct 14 2021
    Himskhalan jaisa ki nam se jahir hai badi bhari matra me barf ka tootkar girna hai, ye un pahadiyon par hota hai jahan bhari matra me barf jama ho jai hai aur dabav padne se sari barf ek sailab ki tarah nichle hisse ki taraf aane lagti hai. Is episode me ham is aapda ke baare me vistar se janenge aur isse khud kaise rahat aur bhacahv kar sakte hain is par bat karenge
    Show more Show less
    14 mins
  • Episode 8: Himskhalan (bhag 2)
    Oct 14 2021
    Ek barf ka sailab jo apne sath raste me aane wala sab kuch bahata chala jaay, isse kaise bachen aur vo bhi tab jab koi aur sahayata na ho? Is episode me ham unhi savdhaniyon, bachav ke tareekon aur is aapda ke baad ki pareshaniyon se khud ka bachav karne ke sare tareekon ko vistar se samjhenge.
    Show more Show less
    14 mins