• Markandey The Story of ageless sage - कहानी अमर ऋषि मार्कंडेय की

  • Dec 16 2023
  • Length: 11 mins
  • Podcast

Markandey The Story of ageless sage - कहानी अमर ऋषि मार्कंडेय की

  • Summary

  • Send us a Text Message.

    The story of Märkandeya, the ageless sage
    कहानी अमर ऋषि मार्कंडेय की.
    E
    k samay ki baat hai, mrikandu namak ek rshi apni patni marudavati ke saath rahte the. ve bahot lambe samay tak nihsantaan the tab markandu ne santaan prapti ke liye bhagvan shiv ki teevr tapasya ki. Markandu ke tapasya se prashann hokar mahadev apne poore vaibhav ke saath unke saamne prakat hue aur bole tumhari bhakti se me bahot khush hu.

    Mrikandu jo vardaan chaho mujhse maango.

    Tab Markandu bole he prabhu, me nihsantaan hu kripaya mujhe putr pradaan karo, unki ye iccha sunn ke mahadev ne bola?

    Kya aapko ek gunvaan, buddhimaan aur dharmaatma putr chahte hai, jo keval solah varsh tak jeevit rahe?

    ya mandabuddhi, dusht svabhaav wala putr chahiye jo deerghakaal tak jeevit rahe?

    Mahadev ki baate sunn ke Mrikandu bole he prabhu mujhe aisa putra deejiye jo buddhimaan ho, lekin jo buddhiheen aur dusht pravitti wala ho usse accha hai kam aayu ka ho taki usse me sahi uddeshy de saku.

    Fir mahadev ne bola jaise aapki ichchha markandu vo tumhare paas hoga.

    Kuch samay baad Mrikandu ke putra Rishi Markandey ka jamn hua,ve bachpan se hi vishesh roop se ek nipun rishi the aur mahadev ko samarpit the. unke manbhaavan tariko ne unhe apne shikshako ka priy bana diya aur markandey sabhi ko pasand the. is prakaar vah apne din bade sukh se jee kar rahe the. Apne manmohak roop aur madhur vyavahaar se sabhi ko prasann karte the,

    samay aagye badta raha aur dekhte hi dekhte solahava varsh nikat aa gaye. markandu aur unki patni aashankit rahne lage. Unhe dar tha ki ve jald hi apne bete ko kho denge jise ve itna pyaar karte the.

    Aur jab rishi markandey ko iss chij ki bhanak padi toh ve bahot pareshaan ho gaye aur rshi markandu se pucha, pitaji?

    Aap itne udaas kyu ho kya dhikkat hai aap kripiya mujhe bataye apke dukh ka kya karan hai?

    Tab Mrikandu bole he mere putr, bhagvan shiv ke vardaan ke anusaar tumhara keval solah varsh tak jeevit rahna niyat hai, tumhi batao putr ham ise kaise sahan kar sakte hai? hum asahaay hai aur nahi jaante ki kya kare?

    Fir Rshi markandey bole pitaji, aapne mujhe ved, puran aur shaastr sikhaye hai.

    aapne mujhe yah sikhaya hai, Mahadev sadaiv apne bhakto ki sachchi praarthanaye sunte hai aur ve mahadev hi hai, jinhone mujhe abhi tak solah varsh tak jeevit rahne ka aasirvad diya hai.

    me unse prarthana karuga aur unse meri aayu badhane ke liye vinti karunga. vah meri sachchi praarthanao ka avashy uttar degye.

    Rishi markandey ke mata-pita Marudvati aur Mrikandu ne unhe aashirvaad diya aur tapasya ke liye bhej diya. Markandey ghane jangal se hote hue nadi ke tat par pahuche vaha unhone ret se ek shivaling banaya aur ghor tapasya karne lage. vah turant hi gahan dhyaan me leen ho gaye aur din-raat beetane lage.

    Aur vaha yamalok me yamraj ki tyaari chal rahi thi, yamraj ne apne sevako ko Rishi Markandey ki atma nikalne ka aadesh diya. Jaise hi yamdoot markandey ke sthaan par prakat hue, unhone markandey ko shivling ke saamne dhyaan karte hue dekha.

    Markandey itne gahre dhyaan me the ki unse ek ajeeb si bhayankar roshani nikal rahi thi aur vo itni tej jal rahi thi ki yamdoot Rishi Markandey ke kareeb nahi pahunch sake.

    Bahot prayas ke baad yam ke sevak ek dusare se bole ham uss tak kyu nahi pahunch pa rahe? yadi ham khali haath jaayenge to hamure swami hume dand degye, ab kya kare?

    Usme se ek doot ne bola mujhe lagta hai vah koee sadharan ladka nahi hai.

    Kyun ki shivaling uski raksha kar raha hai.

    Thak-haar ke, Pahli baar asaphalata ka saamna karte hue yamdoot apne maalik ke paas laut aaye aur bole he Prabhu, hum markandey ko sampark nahi kar sake. usse kuch nikal

    Support the Show.

    Show more Show less

What listeners say about Markandey The Story of ageless sage - कहानी अमर ऋषि मार्कंडेय की

Average customer ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.