Episodios

  • Episode 01: Devotthan Ekadashi Vrat
    Sep 10 2021

    Kya aap jante hain ki bhagwan Vishnu chaar mahine ke liye gehri neend me so jaate hain aur unke sote huye koi bhi shubh karya shuru nahi kiya jata hai? Aisa kyon hota hai aur bhagwan kiske kahne par itni lambi neend me jaate hain,iss episode me humein inhi sawalon ke jawab milenge.

    Más Menos
    15 m
  • Episode 02: Sri Satyanarayan Vrat
    Oct 14 2021

    Ye vrat shayad hamare gharon me sabse jyada lokpriy vrat hai kyonki iski Mahima bahut mahan hai, ye sabhi ichchaon ko poora karne wala vrat hai aur ise karne ke vidhi vidhan bahut aasan bhi hain. Is episode me suniye Shri Satyanarayan bhagwan ke vrat ki katha, vidhi aur uske prabhav ke bare me, vistaar se.

    Más Menos
    16 m
  • Episode 03: Karva Chautha Vrat
    Oct 14 2021
    Karwa chauth vrat :Aadhunik bharat me ye ek aisa iklauta vrat hai jiske liye utsaah har sal badhta hi jata hai. Shadishuda suhagan mahilayen is vrat ko apne pati ki lambi aayu ke liye rakhti hain, ye bahut kathin vrat mana jata hai. Is episode me aaiye jaante hain is vrat ki sahi vidhi, isse judi kathayen aur is vrat ki mahima bhi.
    Más Menos
    15 m
  • Episode 04: Ravivar Vrat
    Oct 14 2021
    Soorya dev is dharti par jeewan dete hain, unke prakash, unki urja se hi yahan jeewan sambhav hai lekin kya aap jante hain ki soorya dev bahut dayalu bhi hain, apne bhakton par hamesha kripa karte hain. Is episode me aap sunenge unke vrat ki katha, vidhi aur Soorya dev ki mahima.
    Más Menos
    20 m
  • Episode 05: Somvar Vrat
    Oct 14 2021
    Bhagwan shiv ko aashutosh kaha jata hai yani jaldi se khush hone wale. Ve apne bhakton ki bhakti bhawana se hi khush ho jate hain, aur unki badi se badi manokamna bhi poori kardete hain. Is episode me janiye kaise bhagwan shiv ne apne ek bhakt ki sabse badi ichcha poori ki aur somwar ke vrat ka mahatamya bhi samajhiye.
    Más Menos
    18 m
  • Episode 06: Mangalwar Vrat
    Oct 14 2021
    Mangalwar vrat: Mangal hamare jyotish shastra me ek bahut bada grah hai.Yadi Mangal dosh kundali me ho to bahut sari pareshaniyon ka samna karna padta hai. Is episode me ham kundali ke mangal dosh ko shant karne ke sath hi mangalwar ki vrat katha ko bhi vidhi poorvak samjhenge.
    Más Menos
    18 m
  • Episode 07: Budhwar Vrat
    Oct 14 2021
    Budhwar vrat :Ye vrat un devta ke liye rakha jata hai jinko har karya se pahle pooja jata hai, jinka nam liye bina koi shubh kam poora nahi hota aur jo unka vrat rakhte hain unka koi arman adhoora nahi rahta. Is episode me janiye ki kaun hain ye devta, kya hai inke vrat ki mahima aur vidhi vidhan.
    Más Menos
    18 m
  • Episode 08: Guruwar Vrat
    Oct 14 2021
    Brahaspati ko hamare jyotish shastra me bahut mahatvpoorn grah mana gaya hai. Yadi ye grah dev prasann hon tab sab kuch shubh hota hai varna lakh koshishon ke bad bhi koi. Kam nahi banta, naukri nahi lagti, vyapar nahi falta, shadi nahi hoti. Is episode me suniye ki kaise aap guruwar ka vrat rakhkar Brahasapti dev ko khush rakh sakte hain
    Más Menos
    18 m